Saturday, 1 June 2013

Hazrat ALI quotes

HAZRAT ALI R.A





Jab Ap Kisi Se Roth Kar Nfrat Se Bat Kro,OR Wo UsKa Jwab MOHABAT se DE Tu Samjh Jana k Wo Aap Ko Khud Se Ziada Pyar Krta he, (HAZRAT ALI A.S)







Apka sacha dost hamesha apse bohat ziada larta ha
• lekin •
agr ap ek ansu b girao tu wo apke ansu rokne k liye pori dunia se lerta ha .
hazrat ali r.a







"Ager kush rehna chatey ho tu na to umeed rekho ur na he shawaka kero" (HAZRAT ALI A.S)
·





Duniya Ek Dhalata howa SAYA HAI,
AGR Ye tumharay Liye Baqi B Rahy to,
Tum Es K Liye Baqi Nahi Raho Ga
HAZARAT (ALI A.S)




‎"Khaliq se Mangna Ezat ki bat he,Agr de to Rehmat or na de to Hikmat,
Mkhloq se Mangna Zillat he Agr de to Ehsan na de to Shrmindgi.
hazrat ali r.a

'Apni Zubaan Ki Taizi Us "MAA" Per Mat Aazmao, Jisnay Tumhein Bolna Sikhaya'

Hazrat ALI (A.S)




Na umeed shakhs har acha mouqa bhi ganwa daita hay,
Aur
Pur umeed shakhs har preshaani main bhi mouqa talash kar laita hay.
Hazrat Ali (A.S)




Tamam nekyan 3 baton me jama kardi gae hen.
1. Nigah
2. Khamoshi
3. Guftagu
Hazrat Ali (A.S)








Tabeyat ki Narmi aur Sakhawat, insan ko Dushmnon k dilon main b Mehboob bana deti hai.....................hazrat ali (r.a)









Agar Tum Seedhay rastay pe ho aur kisi Mushkil ka samna nahe ker rahay to kuch dair k liyay socho k kahin tum kuch ghalt to nahe ker rahay kyon k seedha rasta to mushkilaat se bhar pur hota hy.........................hazrat ali (ra)








لوگوں کے دلوں میں اپنا مقام اس طرح بنا لو کہ مر جاؤ تو تمھارے لئے دعا کریں
اور زندہ ہو تو تم سے ملنا پسند کریں

Jis shaks ne apna raaz kisi ko bata diya wo us ka mohtaaj ho gaya. HAZRAT ALI(R.A)





"Bura dost koiley ki tarah hota hai .jab garam hota hai to haath jala deta hai aur jab thanda hota hai to haath kaale kar deta hai. HAZRAT ALI(R.A)....





Gareeb pr ehsan kro kyun k gareeb hone main waqt nhi legta.....
HAZRAT ALI (R.A)..





HAZRAT ALI(AS) SAID:
JAB TUMHAIN KHUSYAN MILNY LAGAIN TOU 3 CHEZON KO NA BHOOLO:
1)ALLAH KO.
2)USKI MAKHLOOQ KO.
3)APNI ASSLIAT KO!







‎"Koi aaina insan ki itni sachi tasveer nhn paish kar sakta jitni k oski guftagoo paish karti hai."

MOLA ALI (A.S)








Tumhary Nafs Ki Qeemat Janat hay Isy Janat Say Kam Qeemat Pey Na Bechna." Hazrat ALI (A.S)





Zarorat k waqt Khuda ko yaad kernay wala dono soorato may Khuda ko bhool jata hay aik zarorat puri honay pay ya phir zarorat puri na honay pay. HAZRAT ALI (A.S)






AY ALLAH PAK, jab maine tujh se nahi manga tab bhi tu ne mujhe ataa kiya … tou ye kaise mumkin hai k main tujh se mangon or tu ataa na kare .......hazrat ali(ra)

1 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.